सितम्बर, 2010 के लिए पुरालेख

Bewafa Aasman

Posted: सितम्बर 14, 2010 in Uncategorized

Aie aasman tune kisko diya hai thikana ?

Baadal bhi toot kar dharati par barsa,
Ood ood parinda bhi basere ko tarasa !!

Boolandi hain teri tere niche hain dharti,
Tujhe chhune ke liye yeh duniya hain marti !!

Tu na mila hain kisi ko na milega kisi ko,
Yeh bhed, Aie duniya tu samjhega kabhi to !!

Kitne ghar ujde hain kitne sapne toote hain,
Tujhe paane ke liye kitne apne chhoote hain !!

Aie duniya ke maalik tera aasman bewafa hain,
Kabhi bhi zinda kisi ko yeh milta kaha hain !!

Duniya tu khush rah jo bhi mila hain jo bhi tera jahan hain,
Sadiya bit gayi fir bhi dekh kaha tu aur kaha aasman hain !!

By ABZH

Vatan ke liye

Posted: सितम्बर 13, 2010 in Uncategorized

Sar himalay ka hamne na jhukne diya, Hind Sagar ka paani na lootne diya !!
Maa aur bahnon ki izzat salamat raha, Saans ruk ruk chala katra katra baha !!

In Progress

By ABZH

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Posted: सितम्बर 12, 2010 in Uncategorized

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Aye watan, Karta nahin kyun doosree kuch baat-cheet
Dekhta hun main jise woh chup teri mehfil mein hai
Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar
Ab teri himmat ka charcha gair ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Waqt aanay dey bata denge tujhe aye aasman
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai
Kheench kar layee hai sab ko qatl hone ki ummeed
Aashiqon ka aaj jumghat koocha-e-qaatil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar
Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar
Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se
Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se
Aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe kafan
Jaan hatheli par liye lo barh chale hain ye qadam
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Yuun khadaa maqtal mein qaatil kah rahaa hai baar baar’
Kya tamannaa-e-shahaadat bhi kisee ke dil mein hai
Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inqilaab
Hosh dushman ke udaa denge humein roko na aaj
Duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Wo jism bhi kya jism hai jismein na ho khoon-e-junoon
Toofaanon se kya lade jo kashti-e-saahil mein hai

Chup khade hain aaj saare bhai mere khaamosh hain
Na karo to kuch kaho mazhab mera mushkil mein hai

By Ram Prasad ‘Bismil’

Devnagari Version:

सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है
देखना है ज़ोर कितना बाज़ू-ए-क़ातिल में है

(ऐ वतन,) करता नहीं क्यूँ दूसरी कुछ बातचीत,
देखता हूँ मैं जिसे वो चुप तेरी महफ़िल में है
ऐ शहीद-ए-मुल्क-ओ-मिल्लत, मैं तेरे ऊपर निसार,
अब तेरी हिम्मत का चरचा ग़ैर की महफ़िल में है
सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

वक़्त आने पर बता देंगे तुझे, ए आसमान,
हम अभी से क्या बताएँ क्या हमारे दिल में है
खेँच कर लाई है सब को क़त्ल होने की उमीद,
आशिकों का आज जमघट कूचा-ए-क़ातिल में है
सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

है लिए हथियार दुश्मन ताक में बैठा उधर,
और हम तैयार हैं सीना लिए अपना इधर.
ख़ून से खेलेंगे होली अगर वतन मुश्क़िल में है
सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

हाथ, जिन में है जूनून, कटते नही तलवार से,
सर जो उठ जाते हैं वो झुकते नहीं ललकार से.
और भड़केगा जो शोला सा हमारे दिल में है,
सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

हम तो घर से ही थे निकले बाँधकर सर पर कफ़न,
जाँ हथेली पर लिए लो बढ चले हैं ये कदम.
ज़िंदगी तो अपनी मॆहमाँ मौत की महफ़िल में है
सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

यूँ खड़ा मक़्तल में क़ातिल कह रहा है बार-बार,
क्या तमन्ना-ए-शहादत भी किसी के दिल में है?
दिल में तूफ़ानों की टोली और नसों में इन्कलाब,
होश दुश्मन के उड़ा देंगे हमें रोको न आज.
दूर रह पाए जो हमसे दम कहाँ मंज़िल में है,
सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

वो जिस्म भी क्या जिस्म है जिसमे न हो ख़ून-ए-जुनून
क्या लड़े तूफ़ान से जो कश्ती-ए-साहिल में है

सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है
देखना है ज़ोर कितना बाज़ू-ए-क़ातिल में

English Translation:

The desire for sacrifice is now in our hearts

The desire for sacrifice is now in our hearts
We shall now see what strength there is in the boughs of the enemy.
Hey country, Why is no one speaking to each other?
Whoever I see, is gathered quiet in my party…
O martyr of country, of nation, I submit myself to thee
For yet even the enemy speaks of thy courage
The desire for struggle is in our hearts…

When the time comes, we shall show thee, O heaven
For why should we tell thee now, what lurks in our hearts?
We are pulled to service, by the hope of blood, of vengeance
Yea, by our love for nation divine, we go to the streets of the enemy
The desire for struggle is in our hearts…

Armed does the enemy sit, ready to open fire
Ready too are we, our bosoms thrust out to him
With blood we shall play Holi, if our nation need us
The desire for struggle is in our hearts…

No sword can sever hands that have the heat of battle within,
No threat can bow heads that have risen so…
Yea, for in our insides has risen a flame,
and the desire for struggle is in our hearts…

Set we out from our homes, our heads shrouded with cloth,
Taking our lives in our hands, do we march so…
In our assembly of death, life is now but a guest
The desire for struggle is in our hearts…

Stands the enemy in the gallows thus, asking,
Does anyone wish to be sacrificed?…
With a host of storms in our heart, and with revolution in our breath,
We shall knock the enemy cold, and no one shall stop us…
What good is a body that does not have passionate blood,
How can one conquer a storm while in a shored boat.

The desire for struggle is in our hearts,

We shall now see what strength there is in the boughs of the enemy.

By Ram Prasad ‘Bismil’

Haif ham jispe ki taiyaar they mar jaane ko

Posted: सितम्बर 12, 2010 in Uncategorized

Haif ham jispe ki taiyaar they mar jaane ko

Haif ham jispe ki taiyaar they mar jaane ko
Jiite jii hamane chhudaayaa usii kaashaane ko
Kyaa na thaa aur bahaanaa koii tadapaane ko
Aasmaan kyaa yahii baaqii thaa sitam dhaane ko
Laake gurbat mein jo rakkhaa hamein tarsaane ko

Phir na gulshan mein hamein laayegaa saiyaad kabhii
Yaad aayegaa kise yah dil-e-naashaad kabhii
Kyon sunegaa tuu hamaarii koii fariyaad kabhii
Ham bhii is baag mein the qaid se aazaad kabhii
Ab to kaahe ko milegii ye havaa khaane ko

Dil fidaa karate hain qurbaan jigar karate hain
Paas jo kuchh hai vo maataa kii nazar karate hain
Khaanaa viiraan kahaan dekhiye ghar karate hain
Khush raho ahal-e-vatan, ham to safar karate hain
Jaake aabaad karenge kisii viraane ko

Na mayassar huaa raahat se kabhii mel hamein
Jaan par khel ke bhaayaa na koii khel hamein
Ek din kaa bhii na manzuur huaa bel hamein
Yaad aayegaa aliipur ka bahut jel hamein
Log to bhuul gaye ho.nge us afasaane ko

Andaman Khaak terii kyon na ho dil mein naazaan
Chhake charanon ko jo pingale ke huii hai jiishaan
Maratabaa itanaa badhe terii bhii taqdiir kahaan
Aate aate jo rahe ‘baal tilak’ bhii mehamaan
Maandale ko hii yah a’izaaz milaa paane ko

Baat to jab hai ki is baat kii zidden thaanen
Desh ke vaaste qurbaan karein ham jaanein
Laakh samjhaaye koii, usakii na hargiz maanein
Bahate hue Khuun mein apnaa na garebaan saanein
Naasehaa, aag lage is tere samjhaane ko

Apnii qismat mein azal se hii sitam rakkhaa thaa
Ranj rakkhaa thaa, mehan rakkhaa thaa, gam rakkhaa thaa
Kisko parvaah thii aur kismein ye dam rakkhaa thaa
Hamne jab vaadi-e-Gurbat mein qadam rakkhaa thaa
Duur tak yaad-e-vatan aaii thii samjhaane ko

Ham bhii aaraam uthaa sakte the ghar par rah kar
Ham bhii maan baap ke paale the, bade duhkh sah kar
Vaqt-e-ruKhsat unhein itnaa bhii na aaye kah kar
God mein aansoo jo tapke kabhii rukh se bah kar
Tifl unko hii samajh lenaa ji bahlaane ko

Desh-sevaa kaa hii bahataa hai lahuu nas-nas mein
Ham to khaa baiThe hain chittaur ke gadh kii qasamein
Sarafaroshii kii adaa hotii hain yon hii rasamein
Bhaal-e-Khanjar se gale milate hain sab aapas mein
Bahano, taiyaar chitaaon mein ho jal jaane ko

Ab to ham Daal chuke apne gale mein jholii
Ek hotii hai faqiron kii hameshaa bolii
Khuun me.n phaag rachaayegii hamaarii tolii
Jab se bangaal mein khele hain kanhaiyaa holii
Koii us din se nahiin puuchhataa barsaane ko

Apanaa kuchh Gam nahiin par hamako khayaal aataa hai
Maadar-e-Hind par kab tak javaal aataa hai
‘Haradayaal’ aataa hai ‘yuurop’ se na ‘laal’ aataa hai
Desh ke haal pe rah rah malaal aataa hai
Muntazir rahte hai.n ham Khaak mein mil jaane ko

Naujavaanon, jo tabiiyat mein tumhaarii khaTake
Yaad kar lenaa hamein bhii kabhii bhuul-e-bhatake
Aap ke juzve badan hove judaa kat-kat ke
Aur sad chaak ho maataa ka kalejaa phatake
Par na maathe pe shikan aaye qasam khaane ko

Dekhein kab tak ye asiiraan-e-musiibat chhutein
Maadar-e-Hind ke kab bhaag khulein yaa phuutein
‘Gaandhii aafriikaa kii baazaaron mein sadakein kuutein
Aur ham chain se din raat bahaarein luutein
Kyon na tarjiih den is jiine pe mar jaane ko

Koii maataa kii ummidon pe na daale paanii
Zindagii bhar ko hamein bhej ke kaale paanii
Munh mein jallaad hue jaate hain chhale paanii
Aab-e-Khanjar kaa pilaa karke duaa le paanii
Bharne kyon jaayein kahiin umr ke paimaane ko

Maiqadaa kiskaa hai ye jaam-e-subuu kisakaa hai
Vaar kiskaa hai javaano.n ye guluu kisakaa hai
Jo bahe qaum ke Khaatir vo lahuu kisakaa hai
Aasmaan saaf bataa de tuu aduu kisakaa hai
Kyon naye rang badaltaa hai tu tadpaane ko

Dardmandon se musiibat kii halaavat puuchho
Marne vaalon se zaraa lutf-e-shahaadat puuchho
Chashm-e-gustaaKh se kuchh diid kii hasarat puuchho
Kushtay-e-naaz se Thokar kii qayaamat puuchho
Soz kahte hain kise puuchh lo parvaane ko

Naujavaanon yahii mauqaa hai uTho khul khelo
Aur sar par jo balaa aaye Khushii se jhelo
Qaum ke naam pe sadaqe pe javaanii de do
Phir milengii na ye maataa kii duaaen le lo
Dekhein kaun aataa hai irshaad bajaa laane ko

— By Ram Prasad ‘Bismil’