1.
Kya ramz aur kya ghilaaf, Jo mere ashkon me rang hota !!
Manzil ko hoti meri talash, Wo apni mehfil me dang hota !!
2.
Mout ki mehfil hain yeh, Woh Sikandar bhi aaj panno mein hain !!
3.
Kangooron ke nishanon ke jamghat lage hain, Jaane mere mitti waale nishan ka kya hoga !!
4.
Chahe ho Hindu,Chahe ho Muslim,Chahe ho koi Isaai ; Sabka jivan khushiyon se roushan karne aaj Diwali aai !!
5.
Uski mohabbat to ek lehar thi jiska saahil koi aur tha, Hum na jaane kyon sailaab aane tak intazar karte rehein !!
6.
Manzil ko fursat kahaan jo niklegi humein dhundhne, Mout bhi gurbat yahaan kab aayegi humein chumne !!
7.
Kabhi uska lahzah woh tohmat to kabhi uske laghzish ka khayaal aaya ,
Mere moula tu bhi kuchh kami na kar ke har us manzar pe malaal aaya !!
8.
Bas chaar qadam to chal nahi paaye; Tum meri manzil taq kya saath nibhaate,
Mere ashq agar na kal moti bante; Tum apni mehfil ki kya raat sajaate !!
9.
Aie duniya ke maalik tu dur kahaan chhipa hain,
Jara idhar bhi kabhi aa to main puchhu tujhse ki tu humari tarah kyon nahi jita hain !!
10.
Tu baat na kar aie mohabbat ki tera is jahaan mein ab koi mol nahi hain,
Kuchh yu ehtesaab hui meri har minnat ki is dil me ab koi bol nahi hain !!
11.
Bewafaai ka samandar paar karte thak gaya,
Ab ek aakhiri karam ho moula ki mout ka aaram mile !!
12.
Yu to tere mehfil ki rounak tere hone se bahut khub hain,
Main agar hota to khuda jaane tere is khuld me kya hota !!
13.
Mohabbat koun karta hain ghayro se yahaa,
Humne to ki mukaddar aazmane ke liye ki bada aietbaar tha kisi khuda ke insaaf par !!
14.
Us path se kya hain chalna jo shool-heen saral ho, Us safar ke hum nahi kayal jo dard-heen ghazal ho !!
By ABZH