Koun hu main?

Posted: जून 29, 2010 in Shayari, Uncategorized

Likh leta hun jo bhi dard hain dil me,

Kisi wazm ka fankar nahi hun !!

Dukh bhare geeton ka bol hun main,

Ashk hun jhankar nahi hun !!

Dard se to khair ishkkari hain apni,

Wafa hun kisi ka inkar nahi hun !!

Jalti dhoop me hi jannat hain meri,

Thandi chhaon ka khumar nahi hun !!

Unse milne ki tamanna to dil me na rahi,

Kisi ke aane ki soch hun Intzar nahi hun !!

By ABZH

टिप्पणी करे